About Me ...

My photo
Chennai, TN, India
I am a Software Engineer since Aug 2004. Master of own space, Fun loving but within a limit, hate pulling other's leg, twinkling brain thinking of surroundings, blend of culture and sanskar, priest of music, always ready with a helping hand and a smiling face, Mr Attitude for people who deserve it, but a true and great friend for my friends ...

Monday, June 25, 2012

SJ8. Mitti Bole ...


Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole...

Geet boney thhe tumhe
Geet boney thhe tumhe
Bo diye kyun laal sholay
Haule-Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole

Ghar ke aangan mein kahaan se
Yeh lapat si aa gayi
Khidkiyon ki thi woh raunak
Dhoop abb kahaan gayi
Ho.. Kyon hawa hai roothi roothi
Kyon hawa hai roothi roothi
Shaakh gumsum kyun na dole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole

Garam hai maatha saagar ka
Tabiyat dheeli dheeli
Dekho chalakti aasmaan ki aankh neeli neeli
Kisne paani ko jalaya
Kisne paani ko jalaya
Kaun vish jheelo mein ghole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, mati bole

Geet boney thhe tumhe
Geet boney thhe tumhe
Bo diye kyun laal sholay
Haule-Haule dheeme dheeme
Mitti bole, mati bole

Monday, June 18, 2012

SJ7. Sakhi


Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mein gumsum rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi

Tann ke ghaav pe marham haya ka
Mann kaa ghaav hai pyaasaa dava ka
Tann ke ghaav pe marham hayaa kaa
Mann kaa ghaav hai pyaasaa davaa kaa

Sitam ke andheron mein sadiyon hai bilkhi
Maasoom bholi wo pyari khushi

Ghut ghut ke kab tak jiyungi sakhi
Gum sum main ab naa rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi
Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mai gumsum rahungi sakhi

Waar ye pyaar kaa kaisaa silaa hai
Seh jo gaye - barambaar milaa hai
Waar ye pyaar kaa kaisaa silaa hai
Seh jo gaye - barambaar milaa hai

Zulmi Naqaabon ke peechhe chhupaa hai
Kaayar saa chehera dil se dukhi...

Zulm naa ab mein sahungi sakhi
Gumsum na ab mein rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi

Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mein gumsum rahungi sakhi

Monday, June 11, 2012

SJ6. Aye Duniya


Aise Naa Dekh, Aise Naa Jhaank
 Aise Naa Dekh, Aise Naa Jhaank
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Dil Me Bharaa Hai
 Apne Romance
 Dil Me Bharaa Hai, Apne Romance
 Karte Hain Roz Chandaa Pe Dance
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Khud Se Hai Pyar Hame Beshumaar
 Khud Pe Nisaar Hum Toh..
 Hai Zindagi Pe Hame Eitbaar
 Hain Iske Yaar Hum To

Ho..o..
 Khud Se Hai Pyar Hame Beshumaar
 Khud Pe Nisaar Hum Toh..
 Hai Zindagi Pe Hame Eitbaar
 Hain Iske Yaar Hum Toh

Itna Na Dekh..
 Itna Na Jhaank..
 Itna Na Dekh Itna Na Jhaank
 Badal Ke Paar Hai Apni Aankh
 Aye Duniya
 Aye Duniya.. haan

Dil Ki Dukan Mein Jo Saman
 Hai Lajwab Hai Ji
 Dil Ko Sajaana Bilkul Asaan
 Seedha Hisab Hai Ji

Dil Ki Dukan Me Jo Saman
 Hai Lajwab Hai Ji
 Dil Ko Sajaana Bilkul Asaan
 Seedha Hisab Hai Ji

Chookein Nahin
 Jab Mile Chance
 Chookein Nahin, Jab Mile Chance
 Karte Hain Roz Chandaa Pe Dance
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Monday, June 4, 2012

SJ5. Ghar Yaad Aata Hai Mujhe


Woh garmiyon ki raat, Woh jaade ki baat
 Woh paani ka matka, rasoi ki aag

Sab satata hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Sathi ik sath ho, itni si baat hai
 Woh ped woh aangan dikhana hai usey
 Kehta hai roz mann mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Jin dilon mein raha mein barso tak
 Ek hissa unme mera bhi tha
 Phir wahin rehna hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Sehmi chokhat pe khade
 Mera man yeh kahe
 Pyar karna sikha tha tum se
 Pyar tumse phir paana hai
 Kitni doge sazaa, ab toh de do duaa
 Intezar ab hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…