About Me ...

My photo
Chennai, TN, India
I am a Software Engineer since Aug 2004. Master of own space, Fun loving but within a limit, hate pulling other's leg, twinkling brain thinking of surroundings, blend of culture and sanskar, priest of music, always ready with a helping hand and a smiling face, Mr Attitude for people who deserve it, but a true and great friend for my friends ...
Showing posts with label Music. Show all posts
Showing posts with label Music. Show all posts

Friday, August 3, 2012

SJ13: Nikal Pado Re...



Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re
Arey Na mumkin bhi Mumkin Hove
Karke dekho re
Bandhu Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re

Arey Naam daam aur shaan pe
Uska nahin dhyaan ,
Laaga jisko laaga prem
Jaaga jismein jaaga prem

Arey koi dekhe na dekhe woh
Karta jaaye kaam
Laaga jisko laaga prem
Jaaga jismein jaaga prem

Arey Dar dar jaave Prem Jagaave ,
Dar dar jaave Prem Jagaave
Jisko laaga prem
Laaga jisko laaga prem
Jaaga jismein jaaga prem .

Dar dar jaave Prem Jagaave
Tum bhi jaago re Bandhu Nikal Pado re
Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re

Arey jise bhi kisi tadap ne
Kisi lagan ne
Chhua jab bhi chhua re
Hua yehi hua re

Arey Badli uski najariya
Badli dagariya
Woh toh nikal pada re
Ghar se nikal pada re

Dar dar jaave Haak lagave,
Nikal pada re
Woh to nikal pada re
Ghar se nikal pada re

Dar dar jaave Haak lagave
Tum bhi suno re Bandhu Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re

Arey Na mumkin bhi Mumkin Hove
Karke dekho re Bandhu Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re

Arey Na mumkin bhi Mumkin Hove
Karke dekho re Bandhu Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re Bandhu Nikal Pado re
Nikal Pado re raahi ... Nikal Pado re.....

Sunday, July 22, 2012

SJ12: Jal naa jaaye jal


Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal
Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal

Dharaa naa kal ho maaruthal
Sambhal jaa re ab paagal paagal

Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal
Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal

Saagar saagar pehra de
Gaagar gaagar pehra de
Boond boond par pehra de
Baadal baadal pehra de

Nadi hai pyaasi
Ghada hai pyaasa
Nadi hai pyaasi
Ghada hai pyaasa
Marr na jaaye kal arey paagal

Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal
Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal

Saanson ka aur boondon ka
Donon ka bal ek saa
Donon jeevan baant tein
Donon ka phal ek saa

Boondon ko bhi
Saanson jaisi
Boondon ko bhi
Saanson jaisi
Maan ke chal, arey samajh le paagal

Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal
Jal naa jaaye jal, Jal naa jaaye jal

Tuesday, July 17, 2012

SJ11: Bahut yaad aate ho tum


Bahut yaad aate ho tum
Bahut yaad aate ho tum
Har roz dil ki koi
rug chhed jaate ho tum
Bahut yaad aate ho tum

Kaise badhe faasle
Mujhko pata na chala
Karna mujhe maaf main
jaane kahaan pe tha gum
Bahut yaad aate ho tum

Tum jo nahi paas mein
Ghar mein hoon vanvaas mein
Tum ko bulata hai ghar
Keh do ke aate ho tum
Bahut yaad aate ho tum

Dabe paanv aake mujhe
jagati hai yaade teri
Bachpan ki baatein sabhi
phir se sunaate ho tum
Bahut yaad aate ho tum

Nanhe se ik phool ne
Mere ghar janam jab liya
Ehsaas tab ye hua
Mere liye kya ho tum
Bahut yaad aate ho tum

Kaise gaya bhool main
Kudrat ka hai ye neeyam
Pahuchunga main bhi wahaan
Ho jis jagah aaj tum
Bahut yaad aate ho tum...

Har roz dil ki koi
rug chhed jaate ho tum
Bahut yaad aate ho tum

Monday, July 9, 2012

SJ10. Kabir Vani

Sab janme ek beej se
Sabki mitti ek

Mann mein duvidha padh gayi
Ho gaye roop anek
Ho gaye roop anek

Jo tu sachcha baaniya
Sab se ek saa bol
Oonch-neech ko chhod de
Ek baraabar tol
Ek baraabar tol

Unche kul ke kaaran tu
Duniya bhool raha
Jab tan mitti ho jaayega
Tab kul ka hoga kya
Tab kul ka hoga kya

Kehet Kabir na garv kar
Naa kisi ki hansi udaa
Abhi teri bhi naiyya samudr mein
Jaane kya ho jaaye
Jaane kya ho jaaye!

Monday, July 2, 2012

SJ9. Ae Zindagi Tu Hi Bata


Ae zindagi tu hi bata
Khoya hai jo
Paoon kahan
Har bhool ko maafi mile
Roothe palon ko main lau mana

Naa jaane kitni
Hasthi aakhon ke
Saare sapne cheen liye maine
Saaye hain cheene kitne saron se
Aur kitne ghar phoonk diye maine

Naa jaane kitne rishtho ki
Dor main kaat ke aaya hoon
Itni baate bhoolu main kaise
Kaise main khud ko apnaoon

Ae zindagi tu hi bata
Khoya hai jo
Paoon kahaa
Har bhool ko maafi mile
Roothe palon ko main lau mana

Hey hey…
Hoo..

Aankhein thi khuli
Maloom tha sab
Sab kuch hote dekh raha tha main
Phir bhi na kuch bhi rokha maine
Jaane kis lehar baha tha main
Kaash yeh sab ek khwab hi ho
Aankh khule toh sab theek mile
Bhoj yeh mann ke jaaein utar
Dil yeh mera phir se khile.. heyy..

Ae zindagi tu hi bataa

Ho ho.. ho hoo..

Monday, June 25, 2012

SJ8. Mitti Bole ...


Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole...

Geet boney thhe tumhe
Geet boney thhe tumhe
Bo diye kyun laal sholay
Haule-Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole

Ghar ke aangan mein kahaan se
Yeh lapat si aa gayi
Khidkiyon ki thi woh raunak
Dhoop abb kahaan gayi
Ho.. Kyon hawa hai roothi roothi
Kyon hawa hai roothi roothi
Shaakh gumsum kyun na dole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, maati bole

Garam hai maatha saagar ka
Tabiyat dheeli dheeli
Dekho chalakti aasmaan ki aankh neeli neeli
Kisne paani ko jalaya
Kisne paani ko jalaya
Kaun vish jheelo mein ghole
Haule Haule dheeme dheeme
Mitti bole, mati bole

Geet boney thhe tumhe
Geet boney thhe tumhe
Bo diye kyun laal sholay
Haule-Haule dheeme dheeme
Mitti bole, mati bole

Monday, June 18, 2012

SJ7. Sakhi


Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mein gumsum rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi

Tann ke ghaav pe marham haya ka
Mann kaa ghaav hai pyaasaa dava ka
Tann ke ghaav pe marham hayaa kaa
Mann kaa ghaav hai pyaasaa davaa kaa

Sitam ke andheron mein sadiyon hai bilkhi
Maasoom bholi wo pyari khushi

Ghut ghut ke kab tak jiyungi sakhi
Gum sum main ab naa rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi
Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mai gumsum rahungi sakhi

Waar ye pyaar kaa kaisaa silaa hai
Seh jo gaye - barambaar milaa hai
Waar ye pyaar kaa kaisaa silaa hai
Seh jo gaye - barambaar milaa hai

Zulmi Naqaabon ke peechhe chhupaa hai
Kaayar saa chehera dil se dukhi...

Zulm naa ab mein sahungi sakhi
Gumsum na ab mein rahungi sakhi
Sehne se behtar kahungi sakhi

Aansun ke sang naa bahungi sakhi
Ab naa mein gumsum rahungi sakhi

Monday, June 11, 2012

SJ6. Aye Duniya


Aise Naa Dekh, Aise Naa Jhaank
 Aise Naa Dekh, Aise Naa Jhaank
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Dil Me Bharaa Hai
 Apne Romance
 Dil Me Bharaa Hai, Apne Romance
 Karte Hain Roz Chandaa Pe Dance
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Khud Se Hai Pyar Hame Beshumaar
 Khud Pe Nisaar Hum Toh..
 Hai Zindagi Pe Hame Eitbaar
 Hain Iske Yaar Hum To

Ho..o..
 Khud Se Hai Pyar Hame Beshumaar
 Khud Pe Nisaar Hum Toh..
 Hai Zindagi Pe Hame Eitbaar
 Hain Iske Yaar Hum Toh

Itna Na Dekh..
 Itna Na Jhaank..
 Itna Na Dekh Itna Na Jhaank
 Badal Ke Paar Hai Apni Aankh
 Aye Duniya
 Aye Duniya.. haan

Dil Ki Dukan Mein Jo Saman
 Hai Lajwab Hai Ji
 Dil Ko Sajaana Bilkul Asaan
 Seedha Hisab Hai Ji

Dil Ki Dukan Me Jo Saman
 Hai Lajwab Hai Ji
 Dil Ko Sajaana Bilkul Asaan
 Seedha Hisab Hai Ji

Chookein Nahin
 Jab Mile Chance
 Chookein Nahin, Jab Mile Chance
 Karte Hain Roz Chandaa Pe Dance
 Aye Duniya
 Aye Duniya..

Monday, June 4, 2012

SJ5. Ghar Yaad Aata Hai Mujhe


Woh garmiyon ki raat, Woh jaade ki baat
 Woh paani ka matka, rasoi ki aag

Sab satata hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Sathi ik sath ho, itni si baat hai
 Woh ped woh aangan dikhana hai usey
 Kehta hai roz mann mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Jin dilon mein raha mein barso tak
 Ek hissa unme mera bhi tha
 Phir wahin rehna hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Sehmi chokhat pe khade
 Mera man yeh kahe
 Pyar karna sikha tha tum se
 Pyar tumse phir paana hai
 Kitni doge sazaa, ab toh de do duaa
 Intezar ab hai mujhe
 Ghar yaad aata hai mujhe…

Monday, May 28, 2012

SJ4. Naav hai zindagi ...


Ek masoom si naav hai zindagi zindagi
Toofaan mein doob rahi zindagi zindagi
Maajhi ki aankhon mein jhaank kar
Kinara dhoondh rahi hai zindagi zindagi
Zindagi Zindagi

Baadalon ka shor bahut
Tez hawa chal rahi hai
Tez hawa chal rahi hai
Ek lau maajhi ke haath mein
Ek lau maajhi ke haath mein
Aankh moond hai jaagi hui
Aankh moond hai jaagi hui

Ek masoom si naav hai zindagi zindagi
Toofaan mein doob rahi zindagi zindagi

Ho maajhi tum sath nibhana
Ek ek kadam badhana
Ek ek kadam badhana
Main chhod doon aas agar
O Maajhi
Main chhod doon aas agar
Tum naa chhodna saath kabhi
Tum naa chhodna saath kabhi

Ek masoom si naav hai zindagi zindagi
Toofaan mein doob rahi zindagi zindagi
Maajhi ki aankhon mein jhaank kar
Kinara dhoondh rahi hai zindagi zindagi
Zindagi Zindagi.

Monday, May 14, 2012

SJ2: Dheere Dheere, Haule Haule

Bikhre toote tukde,
saare jud rahe hai dheere dheere, haule haule,

betuke se sur woh,
saare mil rahe hai dheere dheere, haule haule,

aayiney ka dhundhla chehara,
khil raha hai dheere dheere, haule haule,

nanhi si ek jaan ne apna bachpan khoya,
ho phir ki mayli chadar odhke soya,
bebas aklea bezubaan, chupchap roya,

barso se yeh behte,
aasun tham rahe hai dheere dheere, haule haule,

khul rahi aankhein jo,
ab tak nam rahi hai dheere dheere, haule haule,

aayiney ka dhundhla chehara,
khil raha hai dheere dheere, haule haule,
chura ke khud se aankhein main har pal jiya,

zeher jo usne ghola maine woh piya,
chupi ke aad main chipkar usne julm kiya,

zubaan par laga woh tala khul raha hai dheere dheere, haule haule,

meri nahi koi khata yeh pata chala hai dheere dheere, haule haule

Tuesday, May 8, 2012

SJ1: O Ri Chiraiya



O Ri Chiraiya, Nanhi si chidiya
Angana mein phir aaja re


O Ri Chiraiya, Nanhi si chidiya
Angana mein phir aaja re


Andhiyara.. hai ghana
Aur lahu se sana


Kirno ke tinke, ambar se chun ke
Angana mein phir aaja re


Humne tujhpe hazaaro sitam hai kiye
Humne tujhpe jahaa bhar ke zulm kiye
Humne socha nahi, Tu jo udd jaayegi
Ye zameen tere bin sooni reh jaayegi
Kiske dum pe sajega mera angana


O Ri Chiraiya, Meri chiraiya
Angana mein phir aaja re


Tere pankho mein saare sitare jadu
Teri chunar thanak sat rangi bunu
Tere kaajal mein main, kaali raina bharu
Teri mehendi mein main, kachi dhoop malu
Tere naino sajaa doon naya sapna


O Ri Chiraiya, Meri Chiraiya
Angana mein phir aaja re


O Ri Chiraiya
Nanhi si chidiya
Angana mein phir aaja re


O Ri Chiraiya

Wednesday, May 2, 2012

Jaane Yeh Kya Ho Gaya

One beautiful song from the movie "Armaan" sung by Shankar Mahadevan and Alga Yagnik. Nice lyrics by Javed Akhtar...

Jaane Yeh Kya Ho Gaya
Dil To Jaise Kho Gaya
Jage Jage So Gaya Dekho Na
Lage Kyon Mujhe Yeh Sama Naya
Yeh Zameen Nayi Aasmaan Naya
Duniya Hi Nayi Lagti Hai
Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ha Ha Ha
Jaane Yeh Kya Ho Gaya
Dil To Jaise Kho Gaya
Jage Jage So Gaya Dekhona
Lage Kyon Mujhe Yeh Sama Naya
Yeh Zameen Nayi Aasmaan Naya
Duniya Hi Nayi Lagti Hai

Yeh Saare Phool Koi Baat Mujhse Kehte Hai
Kyon Mujhe Yun Lage
Taare Tumhare Aanchal Mein Chupke Rehte Hai
Kyon Mujhe Yun Lage
Chaayi Hai Kaisi Mere Dil Pe Deewangee
Ho Dekho Na Dekho Na Dekho Na
Jaane Kaisa Alam Hai
Pighlasa Mausam Hai
Ang Ang Resham Hai Dekho Na
Ho Lage Kyon Mujhe Yeh Sama Naya
Yeh Zameen Nayi Aasmaan Naya
Duniya Hi Nayi Lagti Hai

Khushboo Hai Roshni Mein Hai Rang Hawaon Mein
Kyon Mujhe Yun Lage
Gaate Hai Kaliyan Geeton Ke Hai Fizao Mein
Kyon Mujhe Yun Lage
Raahon Mein Hai Khwaabon Ki Kaisi Yeh Chandni
Ho Dekho Na Dekho Na Dekho Na
Jane Hum Hai Kahan
Mili Hume Hai Yahan Sapno Ki Vaadiyan
Dekho Na
Ho Lage Kyon Mujhe Yeh Sama Naya
Yeh Zameen Nayi Aasma Naya
Duniya Hi Nayi Lagti Hai
Jaane Yeh Kya Ho Gaya
Dil To Jaise Kho Gaya
Jage Jage So Gaya Dekho Na

Saturday, May 28, 2011

Is rang badalti duniya mein ...

Is rang badalti duniya mein
Insaan ki niyat theek nahi
Nikala naa karo tum saj dhajkar
Imaan ki niyat theek nahi

Is rang badalti duniya mein
Insaan ki niyat theek nahi
Nikala naa karo tum saj dhajkar
Imaan ki niyat theek nahi

Yeh dil hain badaa hee diwaanaa
Chhedaa na karo is paagal ko
Yeh dil hain badaa hee diwaanaa
Chheda na karo is paagal ko
Tum se na shararat kar baithe
Nadan kee niyat theek nahi

Is rang badalti duniya mein
Insaan ki niyat theek nahi
Nikalaa naa karo tum saj dhajkar
Imaan ki niyat theek nahi

Kaandhe se hata lo sar apana
Yeh pyaar mohabbat rahane do
Kaandhe se hata lo sar apana
Yeh pyaar mohabbat rahane do
Kashti ko sambhaalo maujon se
Toofaan kee niyat theek nahi

Is rang badalti duniya mein
Insaan ki niyat theek nahi
Nikalaa naa karo tum saj dhajkar
Imaan ki niyat theek nahi
Is rang badalti duniya mein

Main kaise khuda hafij kah doo
Mujhko to kisi kaa yakin nahi
Main kaise khuda hafij kah doo
Mujhko to kisi kaa yakin nahi
Chup jaao humari aankhon me
Bhagawan kee niyat theek nahi

Is rang badalti duniya mein
Insaan ki niyat theek nahi
Nikalaa naa karo tum saj dhajkar
Imaan ki niyat theek nahi
Is rang badalti duniya mein

Sunday, November 7, 2010

We are Family ...

Tu jo gayi toh sona hoga yeh jahaan
Pheeki pheeki hogi saari yeh daastan
Tumse judi hai har khushi, tere bina kya hai yahaan
Chaahein tumhein hum maange tumhe
Sun le dua, yeh aasman ...

Chote chote khwaabon ko aa jodenge
Yeh bhi vaada na tumhein ab chodenge
Jeena chaahe phir tere liye aankhein na pherenge
Saansein meri tu le le bhale, ab na tumhein jaane denge...
____________________________________________________________________
Hum hanse toh hansa haule se tera sara jahaan
Tu agar hai yahaan toh hai yeh agan bhi gulistaan
Saaya tere hum sabhi, rahe dil mein ab teri har baat bhi
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu

Pyaar main de na paaya utna tujhe jitna tera haqq tha
Thi yeh khata par hoti nahi, mera kaha mujhpe bas tha
Aansu tere, parchaye mere, kaise banoo teri ab dawa
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu

Yaadon mein itna rakhna ke woh ho phaasle, rehna lagg ke tum gale
Batla doongi main raasta, jab hongi raaste mein mushkilein
Akkhiyon se keh doon roye na woh, inn aankhon mein bas khushiyan hi khilein
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu ...

Saturday, July 10, 2010

MP3- Mera Pehla Pehla Pyar

A lovely (love!) song from the movie MP3-Mera Pehla Pehla Pyar translated into English. Here it goes:

I just said what was in my heart
I was unaware of it myself
I was lost in your melody, I was so crazy
I could not understand what had happened
Why everything looks new
Everything has changed
Yes, this is what you call LOVE

You are my love, I know just that
I do not know anything else.
You are my life; I do not know anything else.
Crazy about you, the one I want to hold in my arms.
Mad about you, you are only one that the heart likes.
Yes, that is what you call LOVE.
Yes, that is what you call LOVE.
Yes, it is… LOVE LOVE LOVE...

You have gone, I am still here.
Still I am not here!
Do you know when you are not there,
Nothing seems to be right
Everything that is happening
I cannot understand anything
My heart is where you are
I cannot tolerate this distance
You have gone, I am still here.
Still I am not here!
Do you know when you are not there,
Nothing seems to be right
Yes, this is what you call LOVE
Yes, this is what you call LOVE

Friday, February 12, 2010

Aye Chand ...

A beautiful song from the movie "Tera Jadoo Chal Gaya". Sung by Sonu Nigam and Alka Yagnik.

Aye chaand teri
Aye chaand teri chandni ki kasam
Mere paas bhi ek chaand hai
Tujhme to phir bhi daag hai -2
Mera chaand to bedaag hai
Teri dooriyon ki kasam,
mera chaand mere paas hai
Aye chaand teri
Aye chaand teri chandni ki kasam

Kiranon se bhari subaha ho,
taaro se bhari shaam - 2
Maujo mein tera chehraa,
phoolon mein tera naam - 2
Mere mehboob sanam, tu mera ehsaas hai
Aye chaand teri chandni ki kasam

--FEMALE--
Aa ha aa ha....mm hmmm...
Tareef karo na itni tum,
saansen hai ruki jaati - 2
Aati hai sharam si mujhko,
aankhen hai jhuki jaati - 2
Meri dhadkanon mein sanam,
har ghadhi teri pyaas hai

--MALE--
Aye chaand teri
Aye chaand teri chandni ki kasam
Mere paas bhi ek chaand hai
Tujhme to phir bhi daag hai - 2
Mera chaand to bedaag hai
Teri dooriyon ki kasam,
mera chaand mere paas hai
Aye...ohhh...ohh...

Tuesday, December 1, 2009

Yeh Nayan Dare Dare ...

One good song I came across yesterday night... Liked the lyrics and music very much... Hindi Movie/Album Name: KOHRA and Singer: HEMANT KUMAR. Here the lyrics goes:

Ye Nayan Dare Dare, Ye Jaam Bhare Bhare
Zara Peene Do
Kal Ki Kisko Khabar, Ik Raat Hoke Nidar
Mujhe Jeene Do
Ye Nayan Dare Dare...

Raat Haseen Ye Chand Haseen
Tu Sabse Haseen Mere Dilbar
Aur Tujhse Haseen, Aur Tujhse Haseen Tera Pyaar
Tu Jaane Na
Ye Nayan Dare Dare...

Pyaar Mein Hai Jeevan Ki Khushi
Deti Hai Khushi Kai Gam Bhi
Maein Maan Bhi Loon, Maein Maan Bhi Loon Kabhi Haar
Tu Maane Na
Ye Nayan Dare Dare...

Monday, August 17, 2009

Maula Maula ...

Arziyaan Sari Mein, Chehre Pe Likh Ke Laaya Hoon
Tumse Kya Mangu Mein, Tum Khud Hi Samjah Lo...
Ya Maula..., Maula Maula Maula Mere Maula
(Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
(Maula Maula Maula Maula) - 2
Dararein Dararein Bandhein Pe Maula
Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..
(Tere Dar Pe Jhuka Hoon Meeta Hoon Bana Hoon) - 2
(Marammat Mukdar Ki Kar Doo Maula..) - 2

(Jo Bhi Tere Dar Aaya, Juhkne Jo Sar Aaya
Mastiyan Piye Sabko, Jhoomta Nazar Aaya) - 2
Pyaas Le Ke Aaya Tha, Dariya Woh Bhar Laya
Noor Ki Barish Mein Beeghta Sa Tar Aaya
Noor Ki Barish Mein.. Ooo
Noor Ki Barish Mein, Beeghta Sa Tar Aaya
(Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
(Maula Maula Maula Maula) - 2
Dararein Dararein Maathe Pe Maula
Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..
(Jo Bhi Tere Dar Aaya, Jhukne Jo Sar Aaya
Mastiyan Piye Sabko, Jhoomta Nazar Aaya) - 2

(O Ek Khusbu Aati Thi) - 2
Mein Bhatakta Jata Tha, Reshmi Si Maya Thi
Aur Mein Takta Jata Tha
(Jab Teri Gali Aaya, Sach Tabhi Nazar Aaya) - 2
Mujhe Mein Woh Khusboo Thi, Jisse Tune Milwaya
Maula Maula Maula Mere Maula
(Maula Maula Maula Maula) - 2
Dararein Dararein Hai Maathe Pe Maula
Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..

Aaa Aaaa...
Tut Ke Bikharna Mujhko Zarur Aata Hai
Hoo, Tut Ke Bikharna Mujhko Zarur Aata Hai
Varna Ibbadat Wala Ssarur Aata Hai
(Sajde Mein Rehne Do, Abb Kahin Na Jaunga) - 2
Abb Jo Tumne Tukhraya To Sawar Na Paunga
Maula Maula Maula Mere Maula
(Maula Maula Maula Maula) - 2
Dararein Dararein Hai Maathe Pe Maula
Maramat Mukdar Ki Kar Do Maula, Mere Maula..

Sar Utha Ke Mene To Kitni Khwahishe Ki Thi
Kitne Khwaab Dekhe The Kitni Khosishe Ki Thi
Jab Tu Rubaru Aaya...
Jab Tu Rubaru Aaya Nazarein Na Mila Paya
Sar Jhuka Ke Ek Pal Mein... Ooo
Sar Jhuka Ke Ek Pal Mein Mene Kya Nahi Paya
(Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
(Maula Maula Maula Maula) - 2
(Maula Maula Maula Mere Maula) - 2, Mere Maula..
(Maula Maula Maula Maula) - 2, Mere Maula..

(Mora Piya Ghar Aaya, Mora Piya Ghar Aaya) - 6
(Maula Maula Maula Mere Maula) - 2
Maula Maula Maula Maula
Mere Maula Maula Maula Maula
Mere Maula Maula Maula Maula, Mere Maula...

Tuesday, July 28, 2009

Tajmahal mein aa jana...

I had heard this ghazal by Sonu Nigam and Anuradha Paudwal back in 2006. I don't remember from where I had that song that time. Today while looking for something in net, just got this, but not by Sonu and Anuradha :(. Here is the youtube link: http://www.youtube.com/watch?v=RwB4d-I1lIw . I liked the lyrics very much and here it goes:

Jab aanchal raat ka lehraye,
Aur saara aalam so jaaye,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..

Yeh Tajmahal zo chaahat ki,
Aankhon ka sunhera moti hai,
Har raat jahan do roohon ki,
Khamoshi zinda hoti hai,
Is Taj ke saaye mein aakar tum,
Geet wafaa ka dohraana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..

Tanhayee hai jagi-jagi si,
Mahaul hai soya-soya hua,
Jaise ke tumhare khwabon mein,
Khud Tajmahal ho khoya hua,
Ho, Tajmahal ka khwab tumhi,
Yeh raaz na maine pehchana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..

Joh maut mohabbat mein aaye,
Woh jaan se badhkar pyari hai,
Do pyar bhare dil roshan hain,
Woh raat bahut andhiyari hai,
Tum raat ke is andhiyare mein,
Bus ek jhalak dikhla jana,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..

Jab aanchal raat ka lehraye,
Aur saara aalam so jaaye,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Tum Tajmahal mein aa jana.