Tu jo gayi toh sona hoga yeh jahaan
Pheeki pheeki hogi saari yeh daastan
Tumse judi hai har khushi, tere bina kya hai yahaan
Chaahein tumhein hum maange tumhe
Sun le dua, yeh aasman ...
Chote chote khwaabon ko aa jodenge
Yeh bhi vaada na tumhein ab chodenge
Jeena chaahe phir tere liye aankhein na pherenge
Saansein meri tu le le bhale, ab na tumhein jaane denge...
____________________________________________________________________
Hum hanse toh hansa haule se tera sara jahaan
Tu agar hai yahaan toh hai yeh agan bhi gulistaan
Saaya tere hum sabhi, rahe dil mein ab teri har baat bhi
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu
Pyaar main de na paaya utna tujhe jitna tera haqq tha
Thi yeh khata par hoti nahi, mera kaha mujhpe bas tha
Aansu tere, parchaye mere, kaise banoo teri ab dawa
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu
Yaadon mein itna rakhna ke woh ho phaasle, rehna lagg ke tum gale
Batla doongi main raasta, jab hongi raaste mein mushkilein
Akkhiyon se keh doon roye na woh, inn aankhon mein bas khushiyan hi khilein
Hamesha forever, jab tak saanson ka saath hai
Hamesha forever, jab tak taaron ki raat hai
Hamesha forever, tab tak teri hi baat hai
Hamesha forever dil mein tu ...
No comments:
Post a Comment