I had heard this ghazal by Sonu Nigam and Anuradha Paudwal back in 2006. I don't remember from where I had that song that time. Today while looking for something in net, just got this, but not by Sonu and Anuradha :(. Here is the youtube link: http://www.youtube.com/watch?v=RwB4d-I1lIw . I liked the lyrics very much and here it goes:
Jab aanchal raat ka lehraye,
Aur saara aalam so jaaye,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..
Yeh Tajmahal zo chaahat ki,
Aankhon ka sunhera moti hai,
Har raat jahan do roohon ki,
Khamoshi zinda hoti hai,
Is Taj ke saaye mein aakar tum,
Geet wafaa ka dohraana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..
Tanhayee hai jagi-jagi si,
Mahaul hai soya-soya hua,
Jaise ke tumhare khwabon mein,
Khud Tajmahal ho khoya hua,
Ho, Tajmahal ka khwab tumhi,
Yeh raaz na maine pehchana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..
Joh maut mohabbat mein aaye,
Woh jaan se badhkar pyari hai,
Do pyar bhare dil roshan hain,
Woh raat bahut andhiyari hai,
Tum raat ke is andhiyare mein,
Bus ek jhalak dikhla jana,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Jab aanchal raat ka lehraye..
Jab aanchal raat ka lehraye,
Aur saara aalam so jaaye,
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana.
Tum mujhse milne, samaa jalakar,
Tajmahal mein aa jana,
Tum Tajmahal mein aa jana.
No comments:
Post a Comment